Business Ki Definition in Hindi

Accounting Definition & Types of Accounting in Hindi — Gopal Services

Omkar Kulkarni

Accounting ki definition aur Types, aur more information about Accounting, sabhi important facts and other Financial Reports ke bare me sabhi jaankari is post me maine di hai. Accounting ke liye sabse jyada important facts kya ho sakte hai. income tax ke final report tak sari introduction hai.

Accounting ek aisa work hai jisme sabhi prakar ke Bu s iness ke sabhi trasactional records rakhe jate hai. Yadi Business chota ho ya bada ho. Sabhi prakar ke Business ke liye Accounting karna ek important work samjha jata hai. Pehle to Accounting karne ke liye sabhi prakar ke Business Financial Transactions ko ek book me likha jata hai. Use ledger book kehte hai. Bahot din pehle ye sabhi Accounting ka kam aise hi ledger books me likhkar kiya jata tha. Magar ab ye sare records ek Computer me save kiye jate hai. Aur Tax Department ko report kiye jate hai. Report Monthly aur Quarterly prakar ke hote hai, Jinhe department ko unki hi website se submit kiye jate hai.

Ek chote ya bade kisi bhi prakar ke Business ki Financial Position, Cash flow aur Bank flow janane ke liye Accounting bahot hi important hota hai.

Ek baat to bilkul sahi hai ki sabhi prakar ke Business ke liye Accounting karna ek important work hota hai. Agar Small Business ho ya Large Business ho, Service ho ya Trust ho, Bank ho ya Sanstha ho. Business ka ratio janane ke liye Accounting karna bahot hi jarrori hota hai. Agar Small Business ho to use ek Accountant handel kar sakta hai. Aur Large Company ho to uske liye bahot bada ek alag sa Accounting Department hota hai.

Accounting ke 2 Types hote hai

1. Managerial Accounting

jisme Business ki puri Management hoti hai use Managerial Accounting kaha jata hai. Jaise ki Monthly aur Quarterly report tayyar kiye jate hai, Jis se Business ka poora Management pata chalta hai. Aur Business kaisa operate ho raha hai. Aur Business ke bare me kya dicigen lene jarrori hai. Yeh is Accounting se pata chalta hai. aur dicigen lena aasan ho jata hai.

2. Cost Accounting

Jaise ki Managerial Accounting me Managment ke bare me dicigen lena aasan ho jata hai. Bas usi tarah Cost Accounting me product ke Cost ke bare me dicigen lena aasan ho jata hai. Ek Business stable rakhne ke liye Aur market study karne ke baad product ki cost kya honi chahiye. Iska study Cost Accounting me kiya jata hai. Aur usi se product ki cost fix ki jati hai.

More About Accounting

Kisi bhi prakar ka Accounting karne ke liye ek Financial Year hota hai. Jis year me uska Accounting kiya jata hai, Use Financial Year kaha jata hai. Financial year me sabhi prakar ke Accounting report generate kiye jate hai. Balance Sheet, Profit and Loss Account, Capital Account. Business ne kisi tarah ka agar Loan liya hai to uski information 'Loans' me di jati hai. Agar Business ke liye kisise paise udhar liye hai to uski information bhi Laiblity me di jati hai. Uske baad Provision bhi kiye jate hai. Agar kisiko paise dene hai to uski Information aur Amount Provision me submit ki jati hai. Business me kisi bhi prakar ka Tax Paid karna pending reh gaya hai to Duties and Taxes me bataya jata hai. Business karte samay agar goods credit par liye hai to uski information di jati hai.

Fixed Assets

Accounting me isi tarah se Business ke liye jo Furniture, Vehicle aur Other assets ki bhi jarrorat hoti hai. Yeh Sare Assets section me dikhaya jata hai. har saal perticular percentage ke hisab se Depreciation Charge kiya jata hai. Agar kisi bhi prakar ki Business me Investment ki hai to uska bhi details Investment section me diya jata hai.

(Kuch tarah ke Investments 80c ke sath Income Tax me deduction milte hai. Yane ke us Investments ke upar Tax nahi lagaya jata hai. Bahot prakar ke Investment aise hote hai jispar Tax nahi lagta. Mere aage anewale blogs me main apko one by one uski details bataunga).

Current Assets

Accounting me sabse important aur aakhari section ata hai, vo hai Current Assets. Isme products ka Stock Tax percentage wise mention kiya jata hai. Business me kisine credit par kuch products liye hai to voh sare ledger book me dikhaye jate hai. Business me Opening aur Closing Cash kitni hai ye bhi mention hota hai. Sabhi prakar ke Bank Account ka pata is section chalta hai. Agar Tax Refundable hai Ya Advance paid kiya hai, to vo sare information is heading ke under dikhayi jati hai.

Is tarah Accounting ki Definition hai. Aur Small aur Large Company ke liye Accounting Important hota hai. Accounting ke prakar 2 tarah ke hote hai- Managerial Accounting aur Cost Accounting. Aur poori tarah se ek report me kaise sabhi reports aate hai yeh is blog me mention kiya hai. Kul milake Accounting ek Business ke liye bahot hi important hota hai business ka poora Profitable Ratio janane ke liye. Agar isme koi Questions ho to aap mujhe Comment me pooch sakte hai, Main jarror apka answer dunga.

(Technology Blog- www.gopaltechreviews.com)

(Best Mens and Womens Clothing and Apperals- www.gopaldresscross.com)

(Shop Gadgets Online at- www.gopalgadgets.com)

(Any Query Please Email Me- omkarkulkarni@gopalservices.com or go to- www.gopalservices.com/contact)

Business Ki Definition in Hindi

Source: https://medium.com/@omkarkulkarni_85616/accounting-definition-types-of-accounting-in-hindi-gopal-services-c4ddb4da8d4e

0 Response to "Business Ki Definition in Hindi"

إرسال تعليق

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel